Blogging me Personal Life or Professional Life ko kaise manage kare

Anonymous
By -
0
Welcome Back  Aaj Is Post Me Btaunga Ke Aap Blogging me Personal Life or Professional Life ko kaise manage kare.
Aaj ka jo topic he vo aesa hai, jo bhut jaruri hai har ek Blogger ke liye.. Q ki sab chijo ko Sahi se manage karke rakhna bhut jaruri hai, taki sab badiya se chale.





Yaha ham maan lete hai Hamari 2 life hai:

  • Personal Life
  • Professional Life


Ab yaha to sabse main baat hai wo ye ki hame Hamari in dono life ko aese manage karna hai ki ek ka bura aasar dusre par naa pade..

Personal Life:-Isme Hamari Family Members, Friends, Ristedar Aate he.

Professional Life:-Agar aap ek Blogger hai to isme Aapke Visitor, dusre Blogger ya Blogging se related koi bhi.. Wo sab isme aate hai..

Ab baat aati hai dono ko kaise manage kare, to iska simple ka rule hai.. Aapko dono life ko alag alag rakhna hoga or dono ko time dena hoga..

Jab bhi aap koi kaam Kare to ussi ko kare.. Uske sath extra kuch naa kare..

Jese me apni personal life me apni family or jo bhi friends hai unse jude rhene ke liye whatsapp, hike ka use karta hu..

Or Professional Life ke liye me
fb,Youtube,email,Instagram,twitter or website se connect rheta hu..

Jese agar koi muje whatsapp par message karke blogging se related kuch puche to me unko group ka kheta hu.. Q ki muje lagta hai.. Agar me Personal me unki help karuga bhi to jitna time usme jayega.. Uss hisab  se wo galat hai.. Q ki agar group me koi puche or usko reply kare.. To waha sirf ek ki help nahi hoti , Kai logo ke help ek sath ho jati he

Jese agar mera whatsapp number hai to wo sirf family friend se connect rhene ke liye hai.. Ab agar me waha blogging ki baat karuga to sayad me dono ko Mixer kar Duga..

Isse Merko har kaam ko karne me aasani hoti hai..
Maan Lijiye koi muje message karte hai, Or me reply nahi karta.. To uska Main karan bhi yahi hai. Jaha meri personal life hai me waha apne kaam ko nahi lana chata.. Or agar koi mujhey Facebook par massage krta he to me uska replay krta hu
Wese ye mera tarika hai, ho sakta hai aapka kuch alag ho.. Par Yaha sabse main baat hai wo ye ki aapko apne kaam or family dono par dhiyan dena hai..

PS: Kai Baar Bloggers Mujhse Mera Whatsapp Number Mangte He But Me Mna Kar Data Hu.  Ki me whatsapp use nahi karta.. Usse mera yahi matlab hai me blogging se related baat karne ke liye whatsapp use nahi karta..

Personal whatsapp, fb message me blogging se related baat karne me bhi koi burai nahi hai.. Par uska bhi ek bada karan hai.. Wo hai Time
Q ki ye to sab jante hi hoge.. Ham baat karte hai kisi se to ek line me bate khatam nahi hoti hai.. To aese me kisi ne sabal kiya mene uska jabab diya, fir dusra sabal.. Uska jabab.. Iss trha kitna time nikal jata hai uska koi andaja hi nahi.. Or uske baad bhi uss time ki koi value nahi rheti.. Kehne Ka Matlab He Ki Jitna Time Hamara Barbad Huwa Utne Time Me Hum Kai Logo Ki Help Ho Skti Thi.

Isliye me fb group sabse Jada pasand karta hu.. Help karne ya help lene ke liye.. Taki usse sirf ek hi help naa ho..

To aap kaise manage kar sakte hai, personal or Professional Life..
- 2 mobile number use kare.. Personal or work ke liye.

Wese ye jo topic hai.. Ispar ye mera view hai.. Par ho sakta hai aapke pass isse bhi acha koi tarika ho to wo bhi aap jarur share kare..

Agar aapne ye post pasand ai ho to isko. jarur Share kare..
Thanks

Tags:

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)