Self Branding kya hai or Q hai Jaruri?

Aaj hm baat karenge Self branding ke bare me. Self Branding kya hai or Q hai Jaruri. Iske baar me baat krenge. Sayad aap iske ware me jante hoge, ya nahi bhi to koi baat nahi..

Self Branding matlab khud ki image ek brand ki trha.. Jese example ke liye aap muje le lijiye..

Aap sayad muje jante hoge ki meri Website hai "Hindi All Helps" (Jispar mene ye post read kar rahe ho)  Or me ek Blogger hu.
Par agar me sirf blog pe kaam karu.. To hoga ye sayad jada log muje nahi phechanege ki me kon hu or kya karta hu.

Khene ka matlab aapko apni ek aesi phechan bhi banani hogi apni fild me ki log aapke naam se bhi aapko phechane..

Kya Faida hai self Branding ke:





  • sabse pheli baat aapki phucha jada logo tak ho jayegi.

  • log aapki bato par bharosa karege,

  • agar aap kisi chij ka promotion karege to wo bhi Jada logo tak phuchega.

  • company bhi jab hamse contact karti hai.. Uske phele wo Hamari popularity dekhti hai, fir ussi ke hisab se paise offer karti hai.



  • agar self branding hai to aap koi bhi naya kaam start karege usme starting me hi aapko acha response milega.



  • agar aapke sath kuch galat bhi huaa to bhut log aapke sath khade hoge aapka sath dene ke liye...


Iske aalawa bhi bhut Faide hai jo aap khud se bhi samaj sakte hai..

Self Brand kaise Banaye or uske liye kya karna hai.

To chaiye ab baat kar lete hai Self Brand kaise Banaye or uske liye kya karna hai.


  • Apni jitni bhi social media profile hai unko Sahi se manage karke rakhe.. Or update rakhe..
  •  kuch bhi galat chij naa share kare or naa support kare.
  • Useful or badiya chije share kare.. Jisse logo ko Faida ho.. Taki jada se jada log aapse judna chahe.
  • kisi ko bhi target karke galat kabhi naa bole.. Q ki isse ho sakta hai kuch log to aapka sath de par sayad kuch aapse naraj bhi ho jaye. Isliye aesa kaam hi naa kare.
  • apni ek saaf Sutri or clean image Banaye sabse samne.. Bhale aap normally bad words (gali) ka use karte ho Dosto ke sath baat karne me.. Par ye chij khule me post karne se aapki koi achi image nahi banegi.
  • har kaam ko professional tarike se karne ki kosis kare. Khene ka matlab negative chijo se dur rahe jitna rhe sakte hai. 


Hope jo me kehena chah raha hu wo aap samajh gaye hoge. Ki apni ek achi image lao logo ke samne taki log aapko aapke naam or kaam dono se phechane.

Yahi sabse bada Faida hai self brand ka. Hame kisi se khena nahi padta ki ye meri site hai uspar jao.. Log khud search karke open karte hai ki yaar dekhe to iss ka blog kaise hai.

Aasha krta hu aapko meri in bato se kuch to naya jarur Sikhne ko mila hoga.. Or aap bhi ab apni self branding par kaam karege.
Brand ka matlab hota hai hame kuch naa khena pade.. Log naam sunne hi khud samaj jaye ki kya hai.

Meri baat aapko kesi lagi, or aapko kya lagta hai jo mene bataya wo kitna jaruri hai wo comment  karke jarur btaye.
Thanks for HMH
Reactions

Post a Comment

0 Comments