Post Publish karne ki Sahi process Kya he?

Bahut se ese log he jo apne blog me post to likhte he but unko ye nhi pta hota ke Post Publish karne ki Sahi process kya he? To aaj hum ise ke bare me baat krenge

Agar aap ek Blogger hai to aap post likh kar to jarur dalte hoge.. Or koi basic format bhi jarur hoga aapki post karne ka..

Mere hisab se kya sahi process hai or me kaise post karta hu wo share kar raha hu..

Halaki, starting me mene bhi ye galti bhut war ki thi.. Hope par ab koi naa kare.

Post karne ki Sahi process 





1. Sabse phele post ka topic select kare.

2. Jis topic par post dalne wale hai uske Upar achi se Research kare.. Taki aapko uss topic ki puri jankari ho jaye.

3. Ab aapko clear hai ki kya topic hai or usme kya hai.. To aapko ye bhi aasani se samaj aa jayega ki kya phele se hai or kya nahi hai jo aap or achi trha se post me bata sakte hai.

4. Post ke andar kya kya cover karne wale hai.. Wo points likh le.. Jese heading or subheading taki post ka format Sahi ho sake..

5. Ab starting peragraph me short me hi batane ki post me kya batane wale hai or wo. Kiske kaam aane wala hai.. Taki jo bhi aapki post par aaye wo rule rahe agar unke kaam ki post ho to.

6. Ab jitni bhi point or information share karni hai wo likhe..

7. Last me puri post ka sum-up bhi bataye ki post me overall aapne kya bataya hai or usse kya help hui hai.

8. Image or Thumbnail Sahi se set kare..( Image use karne se phele usko compare or rename jarur kare.)

9. Ab puri post ko ek war check kare Sahi format me hai or sab kuch cover kar liya hai. Uske baad draft me save karde.

10. Ab kam se kam jo topic aapne likha hai.. Uss topic se 1hour ke liye dur rahe.. Matlab ab uss topic ke ware me bilkul soch bhi nahi.. Itni der koi dusra kaam Kare uss topic se harkat.

11. Ab jo post draft me aapne likh kar save ki thi usko bilkul fresh mind se read kare.. Jese aapko uske ware me koi jankari hi nahi hai.. To aese me aapne kahi kuch Sahi nahi likha hoga ya spelling Mistakes hogi to wo aasani se samaj aa jayegi.. Wo sab edit karke Sahi kare.

12. Ab aap post ko publish kar sakte hai..

To ab aapko ek clear idea ho chuka hai kaise Sahi trha se post ko likh kar publish karna hai.. Fir bhi agar mene koi important step choordi ho to wo bhi jarur bataye.
Reactions

Post a Comment

1 Comments