Website Ko Google Me First Page Par Lane Ka Tareka

Anonymous
By -
0
Yadi Aap Bhi Janna chahte Hain Ki Blog Ko Google Mein Kaise Rank Karen To Aaj Aapko Yahan Blog Ko Google Mein Rank Karne Ki Puri Jankari Di Jayegi

Agar Aap Ek Block Rahe Aur Aap Apne Blog Per Acche Acche Article Likhate Hain Aur Aap Yah Chahte Hain Ki Vo Google Main Rank Karen To iske Liye Aapko Kuchh Vishesh Baton Per Dhyan Dena Hota Hai Apne Blog Ko Google Me Rank Karne Ke Liye Aaj Ham Aapko Kuchh Tips Denge Jin Ki Madad Se Aap Apne Blog Ko Google Per Aasani Se Rank Kar Sakte Hain.



Blog ko Google mein kaise Rank kare

Sabse Pahle Aap Jis Bhi Topic Se Related Blog Likhate Hain Usse Related Keywoard Ko Search Karna Hoga Aur Vahan Dekhna Hoga Ki Use Keyword Per Pahle Se Kaun Si Website Rank Kar Rahi Hai Vaha Aapke Competitor Hote Hain Aur Aapko Competition Ko Dekhte Hue Apne Blog Per Post Likhna Hota Hai Iske Liye Aapko Competitor Se Achcha Blog Likhna Hota Hai



Long Article Likhen

Jab Bhi Aap Kisi Particular Topic Per Artical Likh Rahe Hain Tab Aapko Yeh Dhyan Rakhna Hai Ki Aap Use Topic Se Related Jitne Bhi Post Google Per Pahle Page Per Rank Kar Rahe Hain Un Ko Dekhte Hue Aapko Apna Article Likhna Hai Aur Aap Koshish Karen Ki Jo Bhi Blog  Pahle Se Rank Hai Aap Ko Usse Jyada Lamba Article Likhna Hai Aur Apne Competitor Ko Beat Karne Ki Koshish Karni Hai



Image Ki Size Ko Compress Karen

Aap Jab Bhi Kisi Artical Ko Likhte Hain Tab Aapko Ek Chij Ka Vishesh Roop Se Dhyan Rakhna Hai Ki Ek Acha Artical Likhane Ke Liye Hamesha Usmein Image Ka Upyog Hota Hai Aur Kabhi Kabhi Aap Image Acchi Banane Ke Chakkar Mein Use High Quality Mein He Upload Kar Dete Hain Lekin Aapko Ek Chij Ka Vishesh Taur Per Dhyan Rakhna Hai Ki Aapko Hamesha Apne Blog Per Image Upload Karte Samay Uske Size Ko Jarurat Compress Karna Hai Matlab Aapko Ek Kam Size Ki Image Ko Upload Karna Hai Isse Aapke Blog Ke Loading Speed Hamesha Acchi Rahegi.



Blog Ki Loading Speed Fast Kre


Aapke blog ki loading speed fast hone chahiye matlab use load hone mein kam samay lagna chahiye jaise hi koi aapke article per ya aapke kisi blog ke link per click karta hai to aap ki website jaldi se open honi chahie uski loading hone ki speed adhik honi chahie aur time kam Lagna Chahie isliye Aap apne blog main use hone wali image ko compress karke lagaen aur bhi kahin chijon ka khyal rakhe jisse aapke blog ki loading speed Fast Ho.



Aap Post Ke Ant Mein YouTube Video Laga Sakte Hain

Yadi Aap Koi Ek Accha Article Likhna Chahte Hain Tab Aap Vahan Per Apne Article Se Sambandhit Yadi Kisi YouTube video Ka Link lagana chahte Hain to aap use bhi link kar sakte hain isase aapko fayda hi milega aur Google mein aapke ranking position bhi bhadti hai



Copyright Free Image Ka Upyog Karen

Koshish karen ki apne blog mein upyog hone wali jo bhi image ho vo sab copyright free ho. Agar aap kisi aur ki image ka istemal karte Hain to bhavishya mein aap Ko copyright ka issue ho sakta hai



Proper Google Ad Ko Set Karen

Yadi aap apne website ke liye Google AdSense ka Approval le Rahe hain yah aap kisi Other Network ka upyog karte Hain tab aise main aapko ek sahi dhang se apne website per ad Chlana chahiye



Article Mein Main Keyboard Ka Upyog Karen

Aap jab apne website ke liye Koi article likhate Hain tab aapko is chij ka vishesh dhyan rakhna hai ki aapke main keyword ka upyog usmein ek sahi matra mein ho



Permalink Ya URl Ki Keywords Se Related Rakhen

aap jis par topic per artical likhate Hain aapko is chij ka vishesh dhyan rakhna hai ki aap use me use hone wale Permalink Ya Url usi article se sambandhit banaen iske liye aapko Permalink ko edit karne ka option Diya jata hai



Social Media Par Share Kre

Jab bhi aap Koi artical lekhte hain to use aap social media platform per share karna na bhule iske liye aap Facebook, Twitter, Instagram, Aadi ka Upyog Kar Sakte Hain Iske Alava a
Aap WhatsApp Per Apne Article Ke link Ko Share Kar Sakte Hain. 
Tags:

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)