Agar aap ek Hindi blogger hain aur chahte hain ki aapke blog se paise kamana shuru ho jaye, to sabse pehla aur important step hota hai Google AdSense Approval. 2025 mein Google ka approval process pehle se kaafi strict ho chuka hai – especially Hindi blogs ke liye.
AdSense Kya Hai Aur Kyun Zaroori Hai?
Google AdSense ek advertising network hai jo aapke blog par ads show karta hai. Jab visitor aapki site par aata hai aur ads dekh ya click karta hai, to aapko earning hoti hai.
Hindi blogs ke liye good news: Ab Google AdSense Hindi aur Hinglish content ko fully support karta hai.
Matlab agar aapka blog Hindi me hai, to bhi aapko AdSense approval mil sakta hai (agar policies follow ho rahi hain
2025 Me AdSense Approval Ke Liye Minimum Requirements
Pehle AdSense ki koi fix policy nahi thi, lekin ab Google ne kuch strict rules bana diye hain. Agar aap Hindi blog run karte ho, to aapko ye points follow karne hi padenge:
1. Custom Domain
Blogspot free domain (example.blogspot.com) se approval milta hai, lekin custom domain (.com, .in, .net) use karna best hai.
Example: hindiallhelps.blogspot.com → hindiallhelps.com. Custom domain se aapki trust value badhti hai aur AdSense approval jaldi milta hai.
2. High Quality Content
Har post kam se kam 800–1200 words ka hona chahiye. Plagiarism-free content (Copy–Paste bilkul nahi chalega. Hindi font clear aur readable ho.
3. Minimum Posts
Approval ke liye kam se kam 15–20 high quality posts hone chahiye. Har post alag topic par ho aur SEO friendly likha ho.
4. Essential Pages
AdSense tab tak approval nahi deta jab tak aapke blog me ye pages na ho:
About Us
Contact Us
Privacy Policy
Disclaimer
Ye pages aap easily Blogger me bana sakte ho.
5. Blog Design Aur Navigation
Clean aur mobile-friendly theme use karo.
Navigation simple hona chahiye (categories, menu bar, search option).
Ads ya pop-ups ka overuse mat karo.
6. Traffic Requirement
Pehle AdSense me traffic condition strict nahi thi.
Ab 2025 me bhi minimum traffic rule nahi hai, lekin agar aapke blog par organic traffic hai to approval fast milta hai.
Hindi Blog Ke Liye Special Tips
Hindi bloggers ke liye kuch unique problems hoti hain. Chaliye unke solutions dekhte hain:
1. Fonts aur Readability
Unicode fonts (जैसे Mangal, Noto Sans Devanagari) use karo.
Hinglish (Hindi + English mix) bhi chalega, par proper Hindi me likho to better hai.
2. Duplicate Content Avoid Karo
Hindi bloggers jyadatar dusre blogs se copy-paste kar lete hain.
AdSense aise blogs ko reject kar deta hai.
Always unique aur original content likho. Agar idea dusre blog se lete ho, to usko apne words me likho.
3. Hindi Keywords Ka Use
Example: “AdSense approval kaise le” → 40,000+ monthly searches.
Blog se paise kaise kamaye” → 60,000+ monthly searches.
Google Keyword Planner ya Ubersuggest use karke Hindi keywords target karo.
4. Copyright Free Images Use Karo
Hindi blogs me sabse badi galti: images directly Google se le lena.
Canva, Pixabay, Unsplash jaise free tools ka use karo.
Common Mistakes Jiske Wajah Se Approval Nahi Milta
1. Blog par sirf 3–4 posts dal kar AdSense apply kar dena.
2. Copyright content (movies, songs, cricket live score, software download links).
3. Irrelevant aur low quality content.
4. Design kharab, broken links, ads popups.
5. Pages ka missing hona (Privacy Policy, Contact Us, etc
Step by Step Guide – AdSense Approval Hindi Blog (2025)
Aap apne blog ko approve karwana chahte ho, to ye step by step process follow karo:
1. Custom Domain Kharido (GoDaddy, Namecheap, Google Domains).
2. Blogger me connect karke proper design set karo.
3. 15–20 unique aur SEO friendly articles publish karo.
4. Har post me proper H2/H3 headings aur keywords use karo.
5. Required pages banao (About, Contact, Privacy, Disclaimer).
6. Blog ko Google Search Console aur Analytics me add karo.
7. 1–2 mahine wait karo aur thoda traffic generate karo (social media + SEO se).
8. AdSense apply karo aur patiently wait karo.
2025 me AdSense approval Hindi blogs ke liye mushkil nahi hai, bas aapko thoda patience aur smart work karna hoga.
Agar aap quality content likhte ho, SEO follow karte ho aur Google ki policies ko todte nahi ho, to 100% approval milega.