Blogging Chodne Ke Karan hinglish me

Kya aapko pata hai Log Blogging qu Chod dete hai.? Ye sawal lagbhag sabhi ke maan me hota he ke aakhir qu log blogging chod dete he  Or Uska sabse bada karan kya hai wo samaj bhi nahi pate. To aaj hum ise topic par baat karne wale he ke akhi qu Blogging Chodne dete hai.





Log Blogging Qu Karte Hai? 

Sabse pehle to log ye janne ki koshish krenge ke blogger akhir blogging krte qu he? To hum aapko bta de ke agar koi blogging kar rahe hai to uske 3 main karan hote hai.

1- Money 💰 

Kai log Blogging sirf paiso ke liye krte he. Ji ha blogging ek acha platform me jaha se har koi online paise kama skta he 

2- Hobby  

Kuch log sirf apne shonk ke chalte blogging start kar dete he 

3- kisi ki popularity ko dekh kar.

Ye ek sbse bda karan he blogging start krne ka. Log kisi bde blogger ko dekhte he or ye sochte he ke ye to bohot popular he qu na me bhi blogging start kar du or fir me bhi ise ke trha popular ho jaunga


Blogging Chodne ke karan? 


Blogging start to koi bhi kar dete hai.. Or sab kuch badiya se karte bhi hai.. Or unko badiya result bhi milta hai.. Fir bhi wo kuch time baad blogging Chor dete hai.ye sirf meri ya apki problem nhi he ye har ek us bandy ke he jo blogger he. Chahe vo kitna he bada blogger qu na ho par usne 1 baar to blogging chode hogi

Din Bhar Mobile/Computer Ke Samne Bethe Rehna:-Koi banda blog banata hai or usko badiya response bhi milta hai.. Traffic or paisa dono. Par jese ki ham jante hai. Ke Blogging ka matlab computer/Mobile ke samne bethe raho or apna kaam karo. Duniya se koi matlab nahi. Par aapko jaan kar herani hogi yahi sabse bada karan hota hai blogging se mann utne ka. Yadi App din bahr Computer ke samne rahoge to jahir se baat he ke aap logo se kam miloge na kisi se jyada baat kroge or app dhire dhire akelapan mehsus krne lagoge or apka Dhyan blogging se hut jayega

apne interest ke topic par baat karne wala na ho:- Khene ka matlab aapko maanlo blogging bhut pasand hai. Par aapke aaspass aesa koi banda hi nahi hai jisse aap blogging (apne interest ke topic) par baat kar pao to aap apne aapko aakela mhesus karne lagege.

Or ye hota hi hai. Bhut logo ko blogging ka B bhi nahi pata hota jo hamare aaspass hote hai. to unko kya samaj aayega kya hota hai SEO, kya hota hai Backlink ya kya hota hai guest post

To agar aap in topic par kisi normal bande se baat karoge bhi to wo aapko pagal samjege.  To sidhi si baat hai.. Aapka jo interest hai ussi topic par aap baat karo aese log aapko nahi milege to aapka naa chate huee bhi usse mann uth jayega.

Yahi mere sath hota he  mere gao me  aesa koi banda contact me nahi he jisko meri trha blogging me maja aata ho.. Jo din bhar blogging ke topic par baat kar sake. Or ye bda karan hota he ke apka interest khatam hone lgta he.
Par muje kuch aesa chaiye tha ki me bhi apne question puche saku.. Apni bate share kar saku.. Apni khusi share kar saku ya koi blogging me achivment mili ho wo share kar saku.  Ab ye sab jo usko samajte hai unse hi share karne se koi matlab hai.

Mere Khene ka sirf ye matlab hai. Ke Aapka jisme interest hai or agar aap usme hi kuch bhut badiya karna chate hai or nahi chate ki kabhi aapka isme interest kam ho to uss fild ke jo log hai unse jud kar raho.

Akele rehkar kaam krne ke soch:- Ye galti karne ki kosis mat karna ki me aakela hu or aakela hi kaam karuga.  Nahi to aapne kab kaam start kiya or kab band kar diya kisi ko pata tak nahi chal payega.


Apne interest ke logo se jude rehne ka fayda? 

Apne interest ke logo se jude rhene ka ek faida ye hai. Kabhi demotivate ho to wo hame motivate bhi kar dete hai. Or agar apko koi problem hoti he to shayd unse koi help mil ske

Dosto ye thay Blogging Chodne Ke Karan jo mene btaye he agar apke paas bhi hai koi esa karan jisse apne bhi blogging chodi ho to comment krke btaaye
Reactions

Post a Comment

2 Comments